Sunday, July 22, 2018

Google Adsense Important Question Answer in Hindi 2016-17 | एडसेंस संबंधित महत्वपूर्ण जानकारी


Hello dosto aaj main google adsense ke bare main kuch important question or answer batane wala hu, Actually hum jab new Website or YouTube channel create karne ke baad jab kam start karne lagte hain phir adsense ke liye apply karne ke baad  youtube video monetize ya website par adsense ads lagte hai huske baad adsense sambandhit bahut sare question dimag main aane lagte hain,
Aaj main Adsense ke bare me 25 useful baaten btane wala hai is post mein kuch sawaal or jawaab batane wale hain jo log aksar pucha karte hain, 

Google adsense se related 25 important adsense FAQ in hindi me agar acche se padh lete hain toh bahut jankari mil jayegi, To aaj main ye post 18 December ko likh raha bu ho sakta hai aane wale time me adsense policy change ho jaye,


Adsense Se Related 25 Important Question Answers ||Adsense FAQ in Hindi||

1 Question:- Google Adsense Kya Hai or Kaise Kaam Karta Hain?

Ans:- Google adsense ek advertising company hai aur isko hum apne blog ya youtube par connect karke uspar ads dikha kar paise kamate hai,

2 Question:- Apna Adsense Account Kaise 3-4 Din Me Approved Kara Sakte Hain ?

Ans:-  Yes Dosto iske liye 2 mothed hain agar youtube ke through adsense account approval krna chahte ho, Sabse pahle new channel creat krna hoga phir usme apna kuch ka bnaya video 10 se jade video upload kare jo kisi or ka copyright nahi honi chahiye uske baad aap adsense ke liye apply kar sakte ho, To bahut jald hi aap ka adsense account fully approved ho jayega,
Agar blogger par adsense approved krna hai to sabse pahle blog me kam se kam 25 post unique keyword ke sath likhe 1000 word se jade, phir apply kare to apka adsense account fully approved ho jayega,

3 Question:- Mere Blog Ya Website me Adsense Ads Lagane Par Blank Kyo Show Kar Raha Hain?

Ans:- Jab hum blog ke liye adsense apply karte hai or or account mil jata hai uske baad apne blog, website par ads unite create karke lagane par ads show krta hai par hum dekh nahi sakte kyoki or blank ads show hota hai, Jab tak humare blog par 1000 impression (ads) show ho jayega phir ek message aayega congratulations your account is now fully approved  approval mil jayega or ads show karne lagega, So apko 2se 3 din tak wait karna hoga,

4 Question:- Adsense Address PIN Verification Kab or Kaise Send Karta Hain?

Ans:- Jab humare adsense account me 10$ blance show karne lagta hai to adsense PIN Generate krta hai or jo address hum diye hote waha par by speed post ke thorough send karta hai, 3,5 din me mil jata hai PIN Code,

5 Question:- Adsense PIN Nahi Milne Par Kya Hoga / Kya Adsense Paise Send Karega?

Ans:-  Adsense address PIN Code nahi milne par hum 3 time request kar sakte bar bar ohi code send hoga us address par jo hum from bharte time dete hain, Agar 3 bar bhi PIN CODE Nahi milta hai to adsense ek form fill karne ko dega jisme apni detail bharna hoga or sath me apni ID Proof scan karke upload bhi phir 2 din me address verify ho jayega,
                                                                                          Nahi, Bina PIN Verification ke hum adense se paise receive nahi kar payenge,    Chahe apke adsense account me 500$ blance ho paise nahi milega, Most important hain PIN Verify karwana,

6 Question:- 1 User Apne Naam se Kitna Adsense Account Bana Sakta Hain?

Ans:- 1 User has one google adsense account create kar sakta apne naam se, Agar aap multiple account create karte ho same information kabhi nahi banega, Ha ye ho sakta aap apne family ke naam se adsense account create kar sakte ho,

7 Question:- Ek Laptops Ya Computer main Kitne Adsense Account Use Kar Sakte Hain?


Ans:-  Laptops and PC main ek se adhik adsense account istemal ka sakte hai, Kyoki ghar me ek computer hota or puri family use karte to sabke liye alag alag laptop nahi kharida ja sakta hai, But google chrome browser different user create karke use kar sakte hai,

8 Question:- Youtube Par 1000 Video Views Hone Par Adsense Kitna Earning Hogi (Meri Video 1000k 2000k Views hai Lekin Mujhe Kuch Paise Nahi Mila)?

Ans:- Dosto ek target  lagaya gya hai 1000 video views par 1$ milta hai, But aisa kuch nahi hai ye depend karta hai apki video konsi country me dekha ja raha hai. Advertiser’s keyword par kitna paisa dega,    Agar youtube apne traf se ads show krta hai to uske rate kafi kam hoti is liye earning kam milte hai, Adhik Subscribe hone par humare video par mehnga wala ads chalta jise 1000 se kam views hone par bhi 1$ mil jata hain,

9 Question:-  Adsense Ke Paise Kaise Send Karta Hain, Adsense 100$ Hone Par Payment Kab OR Kis Date Ko Send Karta Hain ?

Ans:- Adsense wire transfer se india me paise send karta hai, Adsense account me 100$ humne par payment send karta hai, Agar aap ka adsense account blog or youtube se connect hai to har mahine ke 1 tarikh ko blance add krta hai or youtube ka blance 12 tarikh ko, Google adsense payment date total earnings finalized karke 22 tarikh ko wire transfer se apke bank account me payment send karta hai, Agar apka bank account SBI me hai to bahut jaldi apke account me transfer kar diye jate hain, 

10 Question:- Payment Recive Karne Ke Liye Adsense Account main Banck Detail Kaise Bharte Hain?

Ans:-Sabse Pahle adsense me login kare, Uske bad settings par click karna hoga Phir Payment Par click Kare, Ab Add new payment method kar de,

11 Question:- Google Adsense se kaise faida hota hai?

Ans:- Dosto jab online youtube ya website se paise kamane ke liye sochte hai to sabse best option google adsense milta,

12 Question:- Kya Adsense Account Par Khud Click Kar Sakte Hai Ya Kisi or se Karwa Sakte Hain? 

Ans:- Nahi, friends aisa kabhi mat karna apne khud ke ads par ya dusare se click nahi karwane chahiye,

13 Question:-  Maximum CTR(click through rate) Kitna % Sahi Rahta Hain?

Ans:- Impression,RPM, Page PRM, CTR, In sabka ek average nikala sata, Jaga tak mujhe pata hai agar 20% se 25% CTR Hai aapke to samjh jaye apke ads par jade clicks ho raha hain so aapko apne channel me jakar monetization disable kar dena chahiye.
  CTR Jade hone par apka adsense account block ho sakta hai to apko bar bar check karte rahna chahiye,

14 Question:-Mera Adsense Account Block Ho Gya Hai Kyo?

Ans:-Adsense account block hone ke bahut sare reason hote hain, Agar aap adsense privacy policy ka ulanghan karte ho to kabhi bhi apka adsense account block ho jayega, 

15 Question:- Sir Hum YouTube Channel Banaaye Hai Video Upload Karne Ke Baad, Monetization Ko Enable Karta Hu To Ineligible Bata Raha Hain?

Ans:- Kabhi Kabhi Aisa message aata to sabse pahle video views badhaye 1500, 2000 tak phir adsense enable karne par ho jayega,

16 Question:- Sir Hum Adsense Account proveld Ho Gaya hai or video bhi monetized But Earnings Nahi Ho Rahi Hain?

Ans:- Ye sabse adhik new youtuber question karte rahte hain, Iske liye jaruri hai adhik se adhik video views badhaye,

17 Question:- Adsense Account Kiske Naam Se Banane Chahiye? 

Ans:-  Jis naam se apka bank account hain us naam se hi bnaye, Address or Payee Name change Bhi kiya ja sakta hai,

18 Question:- Main YouTube Or Blog Dono Se Earnings Karna Chahta Hu To Individual Select Kare Ya Business?

Ans:– Yaha par apko individual account select karna hain, Agar business karte hai to apko paise dene hote hain or business address bhi pooch sakta hain,

19 Question:- YouTube Analytic Me Earnings Kam Show Kar Raha Hain or Adsense me Jade Kyo?

Ans:- YouTube analytic me 2 din ke baad earnings update hoti hain, adsense finalized earnings 12 tarikh ko add karta hain

20 Question:-  Kya Huma Blog Ya YouTube Par Kisi Or Ka Video Content Upload Kar sakte hain ?

Ans:- Nahi ye copyright ho jayega agar koi complain kiya to aap ka adsense account or youtube channel band bhi ho jayega,

21 Question:- Google adsense se Par Day 100$ Kama Sakte Hain?

Ans:- Ha hum adsense se daily 100$ se adhik earnings kar sakte hain, But Hard Work karna padega aisa nahi hai hum kuch kam nahi kare or earnings milti jaye, Important bat ye hai jitna aap mehanat karoge utna earnings badhta jayega, Bahut se aise user hain jo lakho rupye adsense se kama rahe hain,

22 Question:- Hum Adsense account Bnate Time Address Verification Ke Liye Family Ka Naam Likh Diye The OR Ab Chahte Adsense Ka Paisa Mere Account Me Mile Kya Ho Sakta Hain?

Ans:- Yes, Jab address verify ho jane ke baad apko adsense payment method ko change karke payee name me jiske account me paisa mangana chahte ho uska naam likh sakte ho,
Mai khud address verify fathers ke name par kraya hu or payment apne account me receive karta hai,

23 Question:- Adsense CPC Kaise Badhaye, Low CPC ads Bock Karne se Income Badti hai?

Ans:- Yes, Hum low CPC ads Block karte to earning badhti, CPC Low or High hota rahata hai ye depend karta kaha se traffic aa raha or kis keyword par,

24 Question:- Website Par Adsense or Bidvertiser, Infolink, Media.net Chitka Ads Ke Sath Laga Sakte Hain,

Ans:- Yes Hum use kar sakte hai,

25 Question:- YouTube Channel Block Hone Par Adsense Account Open Hoga?

Ans:- Yes, Dosto agar aap ka youtube channel band ho jaye phir bhi adsense open hoga,
I hope ki google adsense se sambandhit bahut sari jankari mil gya hoga, Agar apke pass koi Question hai to comment karke puch sakte ho,
Is post me google adsense se related most useful question and answer list banaya hu jise aap  read karke bahut sari jankari hasil kar sakte ho
Share This
Previous Post
Next Post

Mera naam Gohel Bharatsinh Hai aur me ek Hindi Blogger hu. Iss blog me aapko Internet se related jankari hindi me milegi. Internet Ki Jankari, Tech Mine, Online Paise Kaise Kamaye ,Google Adsense, Online Make Money, Free Recharge, YouTube Tips, Technology

1 comment: